aasmaan-zaad zameenon pe kahi naachte hain | आसमाँ-ज़ाद ज़मीनों पे कहीं नाचते हैं

  - Ahmad Sagheer Siddiqui

aasmaan-zaad zameenon pe kahi naachte hain
ham vo paikar hain sar-e-arsh-e-bareen naachte hain

apna ye jism thirkata hai bas apni dhun par
ham kabhi aur kisi dhun pe nahin naachte hain

apne rangon ko tamaashe ka koi shauq nahin
mor jungle mein hi rahte hain wahin naachte hain

tan ke deray mein hai jaan mast qalander ki tarah
vaahime thak ke jo rukte hain yaqeen naachte hain

kab se ik khwaab hai aankhon mein ki taabeer bhi hai
us mein gaate hain makaan aur makeen naachte hain

आसमाँ-ज़ाद ज़मीनों पे कहीं नाचते हैं
हम वो पैकर हैं सर-ए-अर्श-ए-बरीं नाचते हैं

अपना ये जिस्म थिरकता है बस अपनी धुन पर
हम कभी और किसी धुन पे नहीं नाचते हैं

अपने रंगों को तमाशे का कोई शौक़ नहीं
मोर जंगल में ही रहते हैं वहीं नाचते हैं

तन के डेरे में है जाँ मस्त क़लंदर की तरह
वाहिमे थक के जो रुकते हैं यक़ीं नाचते हैं

कब से इक ख़्वाब है आँखों में कि ताबीर भी है
उस में गाते हैं मकाँ और मकीं नाचते हैं

  - Ahmad Sagheer Siddiqui

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Sagheer Siddiqui

As you were reading Shayari by Ahmad Sagheer Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Sagheer Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari