aur si dhoop ghatta aur si rakhi hui hai
ham ne is ghar ki fazaa aur si rakhi hui hai
kuchh marz aur sa ham ne bhi lagaaya hua hai
aur us ne bhi dava aur si rakhi hui hai
is qadar shor mein bas ek humeen hain khaamosh
ham ne honton pe sada aur si rakhi hui hai
vo dua aur hai jo maang rahe hain ki abhi
dil mein ik aur dua aur si rakhi hui hai
qissa apna bhi puraana hai sivaae is ke
bas zara tarz-e-ada aur si rakhi hui hai
और सी धूप घटा और सी रक्खी हुई है
हम ने इस घर की फ़ज़ा और सी रक्खी हुई है
कुछ मरज़ और सा हम ने भी लगाया हुआ है
और उस ने भी दवा और सी रक्खी हुई है
इस क़दर शोर में बस एक हमीं हैं ख़ामोश
हम ने होंटों पे सदा और सी रक्खी हुई है
वो दुआ और है जो माँग रहे हैं कि अभी
दिल में इक और दुआ और सी रक्खी हुई है
क़िस्सा अपना भी पुराना है सिवाए इस के
बस ज़रा तर्ज़-ए-अदा और सी रक्खी हुई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Sagheer Siddiqui
our suggestion based on Ahmad Sagheer Siddiqui
As you were reading Raksha bandhan Shayari Shayari