khud ko choone se dara karte hain | ख़ुद को छूने से डरा करते हैं - Ahmad Wasi

khud ko choone se dara karte hain
hum jo neendon mein chala karte hain

apni hi zaat ke sehra mein aaj
log chup-chaap jala karte hain

khoon shiryaano'n mein lehraata hai
khwaab aankhon mein hinsa karte hain

hum jahaan baste the is basti mein
ab faqat saaye mila karte hain

ladkiyaan hansati guzar jaati hain
hum samundar ko taka karte hain

aati jaati hain bahut si yaadein
daayere ban ke mita karte hain

ख़ुद को छूने से डरा करते हैं
हम जो नींदों में चला करते हैं

अपनी ही ज़ात के सहरा में आज
लोग चुप-चाप जला करते हैं

ख़ून शिरयानों में लहराता है
ख़्वाब आँखों में हिंसा करते हैं

हम जहाँ बस्ते थे इस बस्ती में
अब फ़क़त साए मिला करते हैं

लड़कियाँ हँसती गुज़र जाती हैं
हम समुंदर को तका करते हैं

आती जाती हैं बहुत सी यादें
दाएरे बन के मिटा करते हैं

- Ahmad Wasi
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Wasi

As you were reading Shayari by Ahmad Wasi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Wasi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari