gahraaiyon se mujh ko kisi ne nikaal ke | गहराइयों से मुझ को किसी ने निकाल के - Ahmad Wasi

gahraaiyon se mujh ko kisi ne nikaal ke
fenka hai aasmaan ki jaanib uchaal ke

main ne zameen ko naap liya aasmaan tak
nazaron mein faasle hain urooj-o-zawaal ke

chehre har ik se pooch rahe hain koi jawaab
sholoon pe kuch nishaan lage hain sawaal ke

log mein ab vo charb-zabaanee nahin rahi
ya hijr mein udaas hain qisse visaal ke

har shakhs se mila hoon badi ehtiyaat se
har shakh'siyyat ko main ne padha hai sanbhaal ke

ab shaay'ri se sirf hai lafzon ka vaasta
rishte tamaam ho gaye fikr-o-khayaal ke

गहराइयों से मुझ को किसी ने निकाल के
फेंका है आसमान की जानिब उछाल के

मैं ने ज़मीं को नाप लिया आसमान तक
नज़रों में फ़ासले हैं उरूज-ओ-ज़वाल के

चेहरे हर इक से पूछ रहे हैं कोई जवाब
शो'लों पे कुछ निशान लगे हैं सवाल के

लोग में अब वो चर्ब-ज़बानी नहीं रही
या हिज्र में उदास हैं क़िस्से विसाल के

हर शख़्स से मिला हूँ बड़ी एहतियात से
हर शख़्सिय्यत को मैं ने पढ़ा है सँभाल के

अब शाइ'री से सिर्फ़ है लफ़्ज़ों का वास्ता
रिश्ते तमाम हो गए फ़िक्र-ओ-ख़याल के

- Ahmad Wasi
0 Likes

Bekhayali Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Wasi

As you were reading Shayari by Ahmad Wasi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Wasi

Similar Moods

As you were reading Bekhayali Shayari Shayari