dard thehre to zara dil se koi baat karein | दर्द ठहरे तो ज़रा दिल से कोई बात करें - Ahmad Wasi

dard thehre to zara dil se koi baat karein
muntazir hain ki hum apne se mulaqaat karein

din to aawazon ke sehra mein guzaara lekin
ab humein fikr ye hai khatm kahaan raat karein

meri tasveer adhuri hai abhi kya maaloom
kya meri shakl bigadte hue haalaat karein

aur ik taaza taaruf ka bahaana dhunden
un se kuch un ke hi baare mein savaalaat karein

aao do-chaar ghadi baith ke ik goshe mein
kisi mauzooa pe izhaar-e-khayaalaat karein

दर्द ठहरे तो ज़रा दिल से कोई बात करें
मुंतज़िर हैं कि हम अपने से मुलाक़ात करें

दिन तो आवाज़ों के सहरा में गुज़ारा लेकिन
अब हमें फ़िक्र ये है ख़त्म कहाँ रात करें

मेरी तस्वीर अधूरी है अभी क्या मालूम
क्या मिरी शक्ल बिगड़ते हुए हालात करें

और इक ताज़ा तआ'रुफ़ का बहाना ढूँडें
उन से कुछ उन के ही बारे में सवालात करें

आओ दो-चार घड़ी बैठ के इक गोशे में
किसी मौज़ूअ' पे इज़हार-ए-ख़यालात करें

- Ahmad Wasi
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Wasi

As you were reading Shayari by Ahmad Wasi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Wasi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari