jalta tha raat hi se dil-e-yaasman tamaam | जलता था रात ही से दिल-ए-यासमन तमाम - Ahmed Sohail

jalta tha raat hi se dil-e-yaasman tamaam
ruksat thi subh tak ye bahaar-e-chaman tamaam

jazba ye rashk ka hai ai ushshaq kush mujhe
bazaar se khareed liye hain kafan tamaam

dil jal raha hai vahshat-e-yaad-e-ghazal se
raushan hain is charaagh se dasht-o-daman tamaam

muddat se hain pade hue chaukhat pe yaar ki
paamaal ho chuke hain mere rooh-o-tan tamaam

kamzor hai bahut dil-e-be-saakhta mera
aur shehar mein hukoomat-e-yak-but-shikan tamaam

qatl-e-bahaar ho gaya phoolon ke des mein
gunchon ne chaak-chaak kiye pairhan tamaam

kis ki shab-e-siyaah bujhi koh-e-toor par
kis aaftaab-e-hashr pe aaya gahan tamaam

जलता था रात ही से दिल-ए-यासमन तमाम
रुख़्सत थी सुब्ह तक ये बहार-ए-चमन तमाम

जज़्बा ये रश्क का है ऐ उश्शाक़ कुश मुझे
बाज़ार से ख़रीद लिए हैं कफ़न तमाम

दिल जल रहा है वहशत-ए-याद-ए-ग़ज़ाल से
रौशन हैं इस चराग़ से दश्त-ओ-दमन तमाम

मुद्दत से हैं पड़े हुए चौखट पे यार की
पामाल हो चुके हैं मिरे रूह-ओ-तन तमाम

कमज़ोर है बहुत दिल-ए-बे-साख़्ता मिरा
और शहर में हुकूमत-ए-यक-बुत-शिकन तमाम

क़त्ल-ए-बहार हो गया फूलों के देस में
ग़ुंचों ने चाक-चाक किए पैरहन तमाम

किस की शब-ए-सियाह बुझी कोह-ए-तूर पर
किस आफ़्ताब-ए-हश्र पे आया गहन तमाम

- Ahmed Sohail
0 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmed Sohail

As you were reading Shayari by Ahmed Sohail

Similar Writers

our suggestion based on Ahmed Sohail

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari