jaltee dopahron mein ik saaya sa zer-e-ghaur hai | जलती दोपहरों में इक साया सा ज़ेर-ए-ग़ौर है - Ahmed Sohail

jaltee dopahron mein ik saaya sa zer-e-ghaur hai
bujhti aankhon mein koi chehra sa zer-e-ghaur hai

ab ke main zinda rahoon ya phir se mar jaaun suhail
faisla sab ho chuka thoda sa zer-e-ghaur hai

itni veeraani mein raushan ho tiri tasveer kab
is sulagte jism mein shola sa zer-e-ghaur hai

jism ke aaine mein shola sa rakha hai sawaal
paanv ki zanjeer ko halka sa zer-e-ghaur hai

neend udti hi rahi khwaabon ke jungle mein sada
aasmaan par chaand ka khaaka sa zer-e-ghaur hai

gar gai taarikh mere haath se ahmad suhail
ik naye insaan ka khaaka sa zer-e-ghaur hai

जलती दोपहरों में इक साया सा ज़ेर-ए-ग़ौर है
बुझती आँखों में कोई चेहरा सा ज़ेर-ए-ग़ौर है

अब के मैं ज़िंदा रहूँ या फिर से मर जाऊँ 'सुहैल'
फ़ैसला सब हो चुका थोड़ा सा ज़ेर-ए-ग़ौर है

इतनी वीरानी में रौशन हो तिरी तस्वीर कब
इस सुलगते जिस्म में शो'ला सा ज़ेर-ए-ग़ौर है

जिस्म के आईने में शो'ला सा रखा है सवाल
पाँव की ज़ंजीर को हल्क़ा सा ज़ेर-ए-ग़ौर है

नींद उड़ती ही रही ख़्वाबों के जंगल में सदा
आसमाँ पर चाँद का ख़ाका सा ज़ेर-ए-ग़ौर है

गर गई तारीख़ मेरे हाथ से अहमद 'सुहैल'
इक नए इंसान का ख़ाका सा ज़ेर-ए-ग़ौर है

- Ahmed Sohail
0 Likes

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmed Sohail

As you were reading Shayari by Ahmed Sohail

Similar Writers

our suggestion based on Ahmed Sohail

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari