shehar ko chhod do aur gaav ko jaao tum bhi | शहर को छोड़ दो और गाँव को जाओ तुम भी - Ahmed Sohail

shehar ko chhod do aur gaav ko jaao tum bhi
is ta'alluq ke takalluf ko uthao tum bhi

aag jungle mein bhadak jaayegi kal shaam talak
aaj baadal ko adaaon se lubhaao tum bhi

doosre chehre mujhe kam hain rifaqat ke liye
meri khaatir koi chehra to sajaao tum bhi

main kahi sabza-e-khud-rau ki tarah ug aaun
aur wahin phool ki soorat nikal aao tum bhi

mere haathon mein tire naam ki koi rekha
tere haathon mein na aayi ho dikhaao tum bhi

chaand ko rok diya main ne in haathon mein suhail
tum mujhe rok lo jaadu ye dikhaao tum bhi

शहर को छोड़ दो और गाँव को जाओ तुम भी
इस तअ'ल्लुक़ के तकल्लुफ़ को उठाओ तुम भी

आग जंगल में भड़क जाएगी कल शाम तलक
आज बादल को अदाओं से लुभाओ तुम भी

दूसरे चेहरे मुझे कम हैं रिफ़ाक़त के लिए
मेरी ख़ातिर कोई चेहरा तो सजाओ तुम भी

मैं कहीं सब्ज़ा-ए-ख़ुद-रौ की तरह उग आऊँ
और वहीं फूल की सूरत निकल आओ तुम भी

मेरे हाथों में तिरे नाम की कोई रेखा
तेरे हाथों में न आई हो दिखाओ तुम भी

चाँद को रोक दिया मैं ने इन हाथों में 'सुहैल'
तुम मुझे रोक लो जादू ये दिखाओ तुम भी

- Ahmed Sohail
0 Likes

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmed Sohail

As you were reading Shayari by Ahmed Sohail

Similar Writers

our suggestion based on Ahmed Sohail

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari