koi aahat koi dastak koi jhankaar to ho | कोई आहट कोई दस्तक कोई झंकार तो हो - Ahsan Rizwi

koi aahat koi dastak koi jhankaar to ho
us ki jaanib se kisi baat ka izhaar to ho

bukhl se kaam na loonga main saraahunga use
koi chehra tire maanind tarhdaar to ho

zakham sah loonga munderon pe lage sheeshon ke
koi shay deed ke qaabil pas-e-deewaar to ho

chand lamhon ki masafat ho ki barson ka safar
kaif-parvar hain sabhi sang koi yaar to ho

chand lamhe mein kahi baith ke dam le to sakoon
dar mile ya na mile saaya-e-deewar to ho

कोई आहट कोई दस्तक कोई झंकार तो हो
उस की जानिब से किसी बात का इज़हार तो हो

बुख़्ल से काम न लूँगा मैं सराहूँगा उसे
कोई चेहरा तिरे मानिंद तरहदार तो हो

ज़ख़्म सह लूँगा मुंडेरों पे लगे शीशों के
कोई शय दीद के क़ाबिल पस-ए-दीवार तो हो

चंद लम्हों की मसाफ़त हो कि बरसों का सफ़र
कैफ़-परवर हैं सभी संग कोई यार तो हो

चंद लम्हे में कहीं बैठ के दम ले तो सकूँ
दर मिले या न मिले साया-ए-दीवार तो हो

- Ahsan Rizwi
0 Likes

Haalaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Rizwi

As you were reading Shayari by Ahsan Rizwi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Rizwi

Similar Moods

As you were reading Haalaat Shayari Shayari