aate jaate hue har shakhs ko takte kyun ho | आते जाते हुए हर शख़्स को तकते क्यों हो - Ahsan Rizwi

aate jaate hue har shakhs ko takte kyun ho
gunjalak hain sabhi tahreeren to padhte kyun ho

sirf sannaata wahan raah taka karta hai
be-sabab shaam se hi ghar ko palatte kyun ho

ye nahin gaav ki har shakhs khuloos-aageen ho
shehar mein rah ke banaavat se bidakte kyun ho

आते जाते हुए हर शख़्स को तकते क्यों हो
गुंजलक हैं सभी तहरीरें तो पढ़ते क्यों हो

सिर्फ़ सन्नाटा वहाँ राह तका करता है
बे-सबब शाम से ही घर को पलटते क्यों हो

ये नहीं गाँव कि हर शख़्स ख़ुलूस-आगीं हो
शहर में रह के बनावट से बिदकते क्यों हो

- Ahsan Rizwi
0 Likes

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Rizwi

As you were reading Shayari by Ahsan Rizwi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Rizwi

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari