main ki khuddaar tha thehra na kisi chaanv tale | मैं कि ख़ुद्दार था ठहरा न किसी छाँव तले - Ahsan Rizwi

main ki khuddaar tha thehra na kisi chaanv tale
go ki raaste mein mile the kai ashjaar ghane

zehn vo shehar jahaan nit naya haijaan rahe
dil vo basti ki jahaan khwaab ugen dard pale

zindagaani ye tiri tez-ravi theek nahin
koi chehra to zara der nigaahon mein rahe

kab shab-o-roz ke hangaam ne mohlat bakshi
main ne duraan-e-safar hi naye ashaar kahe

मैं कि ख़ुद्दार था ठहरा न किसी छाँव तले
गो कि रस्ते में मिले थे कई अश्जार घने

ज़ेह्न वो शहर जहाँ नित नया हैजान रहे
दिल वो बस्ती कि जहाँ ख़्वाब उगें दर्द पले

ज़िंदगानी ये तिरी तेज़-रवी ठीक नहीं
कोई चेहरा तो ज़रा देर निगाहों में रहे

कब शब-ओ-रोज़ के हंगाम ने मोहलत बख़्शी
मैं ने दौरान-ए-सफ़र ही नए अशआ'र कहे

- Ahsan Rizwi
0 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Rizwi

As you were reading Shayari by Ahsan Rizwi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Rizwi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari