apne ajdaad ki khoo boo aaye
kaash bacchon ko bhi urdu aaye
ham chaman mein hain to ye khwaahish hai
apne hisse mein bhi khushboo aaye
yaad aayi jo kisi ki to laga
dast-e-ehsaas mein jugnoo aaye
baat nikli to gai door talak
guftugoo mein kai pahluu aaye
sab hain insaan to phir zehnon mein
kyun ye tafreeq-e-man-o-tu aaye
khushk aankhon mein badi halchal hai
baad muddat ke hain aansu aaye
अपने अज्दाद की ख़ू बू आए
काश बच्चों को भी उर्दू आए
हम चमन में हैं तो ये ख़्वाहिश है
अपने हिस्से में भी ख़ुशबू आए
याद आई जो किसी की तो लगा
दस्त-ए-एहसास में जुगनू आए
बात निकली तो गई दूर तलक
गुफ़्तुगू में कई पहलू आए
सब हैं इंसान तो फिर ज़ेहनों में
क्यों ये तफ़रीक़-ए-मन-ओ-तू आए
ख़ुश्क आँखों में बड़ी हलचल है
बाद मुद्दत के हैं आँसू आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahsan Rizwi
our suggestion based on Ahsan Rizwi
As you were reading Sad Shayari Shayari