badan ko chang bana rooh ko rabaab bana | बदन को चंग बना रूह को रबाब बना - Ahsan Rizwi

badan ko chang bana rooh ko rabaab bana
saraapa apna bahut kaif-e-iztiraab bana

ik ishtehaar ki soorat mein padh ke aage nikal
na apne vaaste har shakhs ko kitaab bana

mere sawaalon ko sun le yahi bahut hoga
jawaab de ke mujhe yun na la-jawaab bana

fasurda rah ke hama-waqt kya milega tujhe
kabhi khabaar to chehre ko tu gulaab bana

zameer par jo padi barf hai pighal jaaye
daroon-e-zehn koi aisa aftaab bana

kabhi to thodi si halchal ho soye jazbon mein
kabhi to thehre samundar pe ik habaab bana

बदन को चंग बना रूह को रबाब बना
सरापा अपना बहुत कैफ़-ए-इज़्तिराब बना

इक इश्तिहार की सूरत में पढ़ के आगे निकल
न अपने वास्ते हर शख़्स को किताब बना

मिरे सवालों को सुन ले यही बहुत होगा
जवाब दे के मुझे यूँ न ला-जवाब बना

फ़सुर्दा रह के हमा-वक़्त क्या मिलेगा तुझे
कभी कभार तो चेहरे को तू गुलाब बना

ज़मीर पर जो पड़ी बर्फ़ है पिघल जाए
दरून-ए-ज़ेह्न कोई ऐसा आफ़्ताब बना

कभी तो थोड़ी सी हलचल हो सोए जज़्बों में
कभी तो ठहरे समुंदर पे इक हबाब बना

- Ahsan Rizwi
0 Likes

Gulaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Rizwi

As you were reading Shayari by Ahsan Rizwi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Rizwi

Similar Moods

As you were reading Gulaab Shayari Shayari