na ab vo pehli si tarz-e-giryaa na shaam-e-gham ki hama-humee hai | न अब वो पहली सी तर्ज़-ए-गिर्या न शाम-ए-ग़म की हमा-हमी है

  - Aila Tahir

na ab vo pehli si tarz-e-giryaa na shaam-e-gham ki hama-humee hai
be-ashk aankhon ke ratjagon mein khayal saare bujhe hue hain

sunhari ghadiyon ka lams tha vo mere takallum ke baankpan mein
magar ye aalam hai ab ki alfaaz abr-e-gham mein ghire hue hain

tumhaare dar ko hi takte rahna machalte jazbon ki shokhiyon mein
magar ab is chashm-e-na-tawaan mein hazaar neze gadde hue hain

dhanak sa chehra udaas hona phir us pe bhi vo shafaq sa khulna
yaqeen maano ki ham se naadaan unhi dinon ke jiye hue hain

vo us ke jhagde hamaari khaatir vo saare logon se bair rakhna
kahaan hai ab aa ke dekhe ham kin adawaton mein ghire hue hain

dase hue hain ye aagahi ke na jee rahe hain na mar rahe hain
na poocho in se sabab koi bhi ye log pehle dare hue hain

jo ja chuke hain vo log kya the ki un ki ulfat ki mahki duniya
jahaan thami thi ghadi ruki thi wahin pe ham bhi khade hue hain

न अब वो पहली सी तर्ज़-ए-गिर्या न शाम-ए-ग़म की हमा-हमी है
बे-अश्क आँखों के रतजगों में ख़याल सारे बुझे हुए हैं

सुनहरी घड़ियों का लम्स था वो मिरे तकल्लुम के बाँकपन में
मगर ये आलम है अब कि अल्फ़ाज़ अब्र-ए-ग़म में घिरे हुए हैं

तुम्हारे दर को ही तकते रहना मचलते जज़्बों की शोख़ियों में
मगर अब इस चश्म-ए-ना-तवाँ में हज़ार नेज़े गड़े हुए हैं

धनक सा चेहरा उदास होना फिर उस पे भी वो शफ़क़ सा खुलना
यक़ीन मानो कि हम से नादाँ उन्ही दिनों के जिए हुए हैं

वो उस के झगड़े हमारी ख़ातिर वो सारे लोगों से बैर रखना
कहाँ है अब आ के देखे हम किन अदावतों में घिरे हुए हैं

डसे हुए हैं ये आगही के न जी रहे हैं न मर रहे हैं
न पूछो इन से सबब कोई भी ये लोग पहले डरे हुए हैं

जो जा चुके हैं वो लोग क्या थे कि उन की उल्फ़त की महकी दुनिया
जहाँ थमी थी घड़ी रुकी थी वहीं पे हम भी खड़े हुए हैं

  - Aila Tahir

Bekhayali Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aila Tahir

As you were reading Shayari by Aila Tahir

Similar Writers

our suggestion based on Aila Tahir

Similar Moods

As you were reading Bekhayali Shayari Shayari