ik tasalsul se ek aziyyat ko jaanib-e-dil uchaalta hai koi | इक तसलसुल से एक अज़िय्यत को जानिब-ए-दिल उछालता है कोई

  - Aila Tahir

ik tasalsul se ek aziyyat ko jaanib-e-dil uchaalta hai koi
ek mushkil se neem-jaan ho kar khud ko kaise sambhaalta hai koi

bujhti palkon se taakati vehshat shukr kar ham tujhe mayassar hain
hamein jo rog ho gaye laahiq dekh vo bhi ujaalata hai koi

imtihaan mein pade hue ye log ik ta'assuf se dekhta hai jahaan
haaye aise kharab haalon ke kahaan shajre khangaalata hai koi

gard-e-raah-e-safar hi hain ham log ain-mumkin hai bhool jaao hamein
jis tarah ghar ka faaltu saamaan be-dili se nikaalta hai koi

ba'ad mere bhi kitne log aaye tum ko achhe lage tumhaare hue
kya kabhi chup ki saa'aton mein tumhein meri tarah sambhaalta hai koi

इक तसलसुल से एक अज़िय्यत को जानिब-ए-दिल उछालता है कोई
एक मुश्किल से नीम-जाँ हो कर ख़ुद को कैसे सँभालता है कोई

बुझती पलकों से ताकती वहशत शुक्र कर हम तुझे मयस्सर हैं
हमें जो रोग हो गए लाहिक़ देख वो भी उजालता है कोई

इम्तिहाँ में पड़े हुए ये लोग इक तअस्सुफ़ से देखता है जहाँ
हाए ऐसे ख़राब हालों के कहाँ शजरे खँगालता है कोई

गर्द-ए-राह-ए-सफ़र ही हैं हम लोग ऐन-मुमकिन है भूल जाओ हमें
जिस तरह घर का फ़ालतू सामाँ बे-दिली से निकालता है कोई

बा'द मेरे भी कितने लोग आए तुम को अच्छे लगे तुम्हारे हुए
क्या कभी चुप की साअ'तों में तुम्हें मिरी तरह सँभालता है कोई

  - Aila Tahir

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aila Tahir

As you were reading Shayari by Aila Tahir

Similar Writers

our suggestion based on Aila Tahir

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari