dil ab us shehar mein jaane ko machalta bhi nahin
kya zaroori hai zaroorat se alag ho jaana
ain-mumkin hai samajh tum ko na aaun is saal
tum yahi karna ki ujlat se alag ho jaana
ye kahi cheen na le sabr ki daulat tum se
dil dhuaan karti qayamat se alag ho jaana
vo tumhein bhool ke paagal bhi to ho saka hai
dekh kar waqt suhoolat se alag ho jaana
meri taqdeer mein bas ek hi dukh utara hai
dil ka us yaar ki sangat se alag ho jaana
tera gham hi to udaaye liye firta hai mujhe
chahe kaun aisi aziyyat se alag ho jaana
adh-khile phool se rakhna na kabhi rabt koi
adh-bujhe rang ki haalat se alag ho jaana
ham to jaan haar chale hain p tum ai nikhat-e-gul
chashm-e-qaatil ki mashiyyat se alag ho jaana
दिल अब उस शहर में जाने को मचलता भी नहीं
क्या ज़रूरी है ज़रूरत से अलग हो जाना
ऐन-मुमकिन है समझ तुम को न आऊँ इस साल
तुम यही करना कि उजलत से अलग हो जाना
ये कहीं छीन न ले सब्र की दौलत तुम से
दिल धुआँ करती क़यामत से अलग हो जाना
वो तुम्हें भूल के पागल भी तो हो सकता है
देख कर वक़्त सुहूलत से अलग हो जाना
मेरी तक़दीर में बस एक ही दुख उतरा है
दिल का उस यार की संगत से अलग हो जाना
तेरा ग़म ही तो उड़ाए लिए फिरता है मुझे
चाहे कौन ऐसी अज़िय्यत से अलग हो जाना
अध-खिले फूल से रखना न कभी रब्त कोई
अध-बुझे रंग की हालत से अलग हो जाना
हम तो जाँ हार चले हैं प तुम ऐ निकहत-ए-गुल
चश्म-ए-क़ातिल की मशिय्यत से अलग हो जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aila Tahir
our suggestion based on Aila Tahir
As you were reading Dosti Shayari Shayari