ab zulekha hai yaqoob ki aah mein
mere yusuf kabhi tu dikhaai bhi de
khaana dil se moren maharein agar
tu mujhe apne gham se rihaai bhi de
main tamannaa ko kaise likhoon teergi
phir ye dil teergi ki duhaai bhi de
husn nazrein jhukaaye hue roo-b-roo
us tamaashe talak par rasai bhi de
raat muddat se aankhon mein kattee hoi
aur chup ke daroon se sunaai bhi de
अब ज़ुलेख़ा है याक़ूब की आह में
मेरे यूसुफ़ कभी तू दिखाई भी दे
ख़ाना दिल से मोड़ें महारें अगर
तू मुझे अपने ग़म से रिहाई भी दे
मैं तमन्ना को कैसे लिखूँ तीरगी
फिर ये दिल तीरगी की दुहाई भी दे
हुस्न नज़रें झुकाए हुए रू-ब-रू
उस तमाशे तलक पर रसाई भी दे
रात मुद्दत से आँखों में कटती होई
और चुप के दरूँ से सुनाई भी दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aila Tahir
our suggestion based on Aila Tahir
As you were reading Raat Shayari Shayari