vehshat ke talavvun mein guzri ki guzaar aaye | वहशत के तलव्वुन में गुज़री कि गुज़ार आए - Aila Tahir

vehshat ke talavvun mein guzri ki guzaar aaye
ik ahad bujha aaye ik umr ko haar aaye

tum log bhi kya samjho tum log bhi kya jaano
kis khwaab-asaase ko mitti mein utaar aaye

vo rang jo bheje the us chashm-e-fusoon-gar ko
vo rang wahin apni tabaani ko vaar aaye

ab aablaa-paai hai lamhon ki giraani hai
khush-baash gaye the jo vo seena-figaar aaye

gham se theen bujhi aankhen chehre pe taghayyur tha
ik shakhs ko kya dekha be-ant nikhaar aaye

awaaz ka kya hoga ye ilm tha pehle se
bas zid mein khamoshi ki hum un ko pukaar aaye

वहशत के तलव्वुन में गुज़री कि गुज़ार आए
इक अहद बुझा आए इक उम्र को हार आए

तुम लोग भी क्या समझो तुम लोग भी क्या जानो
किस ख़्वाब-असासे को मिट्टी में उतार आए

वो रंग जो भेजे थे उस चश्म-ए-फ़ुसूँ-गर को
वो रंग वहीं अपनी ताबानी को वार आए

अब आबला-पाई है लम्हों की गिरानी है
ख़ुश-बाश गए थे जो वो सीना-फ़िगार आए

ग़म से थीं बुझी आँखें चेहरे पे तग़य्युर था
इक शख़्स को क्या देखा बे-अंत निखार आए

आवाज़ का क्या होगा ये इल्म था पहले से
बस ज़िद में ख़मोशी की हम उन को पुकार आए

- Aila Tahir
0 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aila Tahir

As you were reading Shayari by Aila Tahir

Similar Writers

our suggestion based on Aila Tahir

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari