ye hare ped jo paani pe jhuke hote hain
shaam hote hi ganwa dete hain beenaai bhi
go ki khaamosh hi rahti hai umooman lekin
cheekh uthati hai kabhi hijr mein tanhaai bhi
vo tire khwaab thi aabaad jahaan ik duniya
kya vo duniya mujhe kho kar tujhe raas aayi bhi
surmai raat mein ik zakham khila rehta hai
vo gaya waqt mayassar thi masihaai bhi
ek dukh jis mein kai zard manaazir ki thakan
maand pad jaayen jahaan rang bhi ra'naai bhi
ये हरे पेड़ जो पानी पे झुके होते हैं
शाम होते ही गँवा देते हैं बीनाई भी
गो कि ख़ामोश ही रहती है उमूमन लेकिन
चीख़ उठती है कभी हिज्र में तन्हाई भी
वो तिरे ख़्वाब थी आबाद जहाँ इक दुनिया
क्या वो दुनिया मुझे खो कर तुझे रास आई भी
सुरमई रात में इक ज़ख़्म खिला रहता है
वो गया वक़्त मयस्सर थी मसीहाई भी
एक दुख जिस में कई ज़र्द मनाज़िर की थकन
माँद पड़ जाएँ जहाँ रंग भी रा'नाई भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aila Tahir
our suggestion based on Aila Tahir
As you were reading Breakup Shayari Shayari