pehle kiya gaya mujhe yakta-e-rang-o-boo
phir ranj ki tahon mein utaara gaya mujhe
to iztiraab mein hi liya hoga mera naam
warna kabhi sukoon mein pukaara gaya mujhe
maathe pe likh diya gaya us khush-ada ka hijr
aur hijr ke daroon mein sanwaara gaya mujhe
pairo'n ko rokti rahi aawaaz-e-raftagaan
sehra-e-khaak-o-khoon mein utaara gaya mujhe
ab mujh mein dhoondhiye na nishaan shehr-e-zaat ka
hijrat ke rozanon mein nithaara gaya mujhe
is se bhi dil ka saath koi der hi raha
jis khwaab ke fusoon mein utaara gaya mujhe
vo shehr-e-sar-nigoon ki jahaan dil kahe jise
us shehr-e-sar-nigoon mein sanwaara gaya mujhe
पहले किया गया मुझे यकता-ए-रंग-ओ-बू
फिर रंज की तहों में उतारा गया मुझे
तो इज़्तिराब में ही लिया होगा मेरा नाम
वर्ना कभी सुकूँ में पुकारा गया मुझे
माथे पे लिख दिया गया उस ख़ुश-अदा का हिज्र
और हिज्र के दरूँ में सँवारा गया मुझे
पैरों को रोकती रही आवाज़-ए-रफ़्तगाँ
सहरा-ए-ख़ाक-ओ-ख़ूँ में उतारा गया मुझे
अब मुझ में ढूँढिए न निशाँ शहर-ए-ज़ात का
हिजरत के रौज़नों में निथारा गया मुझे
इस से भी दिल का साथ कोई देर ही रहा
जिस ख़्वाब के फ़ुसूँ में उतारा गया मुझे
वो शहर-ए-सर-निगूँ कि जहाँ दिल कहे जिसे
उस शहर-ए-सर-निगूँ में सँवारा गया मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aila Tahir
our suggestion based on Aila Tahir
As you were reading Fantasy Shayari Shayari