taabish ye bhala kaun si rut aayi hai jaani | ताबिश ये भला कौन सी रुत आई है जानी

  - Ain Tabish

taabish ye bhala kaun si rut aayi hai jaani
sehra mein koi reg na dariya mein hai paani

khalwat-kada-e-dil pe zuboon-haali-e-bisyaar
hai soorat ganjeena-e-alfaaz-o-ma'aani

har chand hui is ke evaz dil ki kharaabi
kya kahiye ki badhta raha shauq-e-hama-daani

mujh se meri roti hui aankhen to na cheeno
rahne do mere paas meri koi nishaani

deewaar-o-dar-o-baam ki veeraani ne akshar
ro ro ke kahi mausam-e-rafta ki kahaani

ताबिश ये भला कौन सी रुत आई है जानी
सहरा में कोई रेग न दरिया में है पानी

ख़लवत-कदा-ए-दिल पे ज़बूँ-हाली-ए-बिसयार
है सूरत गंजीना-ए-अलफ़ाज़-ओ-मआ'नी

हर चंद हुई इस के एवज़ दिल की ख़राबी
क्या कहिए कि बढ़ता रहा शौक़-ए-हमा-दानी

मुझ से मिरी रोती हुई आँखें तो न छीनो
रहने दो मिरे पास मिरी कोई निशानी

दीवार-ओ-दर-ओ-बाम की वीरानी ने अक्सर
रो रो के कही मौसम-ए-रफ़्ता की कहानी

  - Ain Tabish

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Tabish

As you were reading Shayari by Ain Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Ain Tabish

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari