hazaar marhale honge junoon se aage bhi | हज़ार मरहले होंगे जुनूँ से आगे भी

  - Ain Tabish

hazaar marhale honge junoon se aage bhi
base hain shehar kai sail-e-khoon se aage bhi

ham ek din qafas-e-jaan se baahar aaye to
pahunch gaye falak-e-neelgoon se aage bhi

bikhar rahi hain daroon-o-baroon ki saari hadein
lagaayein khema daroon-o-baroon se aage bhi

hamein khabar hui ye shehar sone waala hai
so dekh aaye badan ke fusoon se aage bhi

kabhi to jhaank le deewaar-e-qahqaha se udhar
kabhi to dekh le had-e-junoon se aage bhi

हज़ार मरहले होंगे जुनूँ से आगे भी
बसे हैं शहर कई सैल-ए-ख़ूँ से आगे भी

हम एक दिन क़फ़स-ए-जाँ से बाहर आए तो
पहुँच गए फ़लक-ए-नीलगूँ से आगे भी

बिखर रही हैं दरून-ओ-बरूँ की सारी हदें
लगाएँ ख़ेमा दरून-ओ-बरूँ से आगे भी

हमें ख़बर हुई ये शहर सोने वाला है
सो देख आए बदन के फ़ुसूँ से आगे भी

कभी तो झाँक ले दीवार-ए-क़हक़हा से उधर
कभी तो देख ले हद-ए-जुनूँ से आगे भी

  - Ain Tabish

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Tabish

As you were reading Shayari by Ain Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Ain Tabish

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari