ghubaar-e-jahaan mein chhupe ba-kamaalon ki saf dekhta hoon
main ahad-e-guzishta ke aashuftagan ki taraf dekhta hoon
main sar ko chhupaane se pehle jahaan ka hadf dekhta hoon
mehakte hue nek phoolon ko khanjar-b-kaf dekhta hoon
hai andar talak ek neza guloo main kaar-e-wazu mein
to is haw mein main kahaan par hoon kis ki taraf dekhta hoon
zamaane ki ghaaten kitaabon ki baaton ko jhutla rahi hain
main hairat ka maara tamaashaaee-e-iz o sharf dekhta hoon
panah mil na paai khayaal-e-khuda mein jamaal-e-khudi mein
main is bebaasi mein pareshaan soo-e-najf dekhta hoon
ग़ुबार-ए-जहाँ में छुपे बा-कमालों की सफ़ देखता हूँ
मैं अहद-ए-गुज़िश्ता के आशुफ़्तगाँ की तरफ़ देखता हूँ
मैं सर को छुपाने से पहले जहाँ का हदफ़ देखता हूँ
महकते हुए नेक फूलों को ख़ंजर-ब-कफ़ देखता हूँ
है अंदर तलक एक नेज़ा गुलू मैं कार-ए-वज़ू में
तो इस हाव में मैं कहाँ पर हूँ किस की तरफ़ देखता हूँ
ज़माने की घातें किताबों की बातों को झुटला रही हैं
मैं हैरत का मारा तमाशाई-ए-इज़ ओ शरफ़ देखता हूँ
पनह मिल न पाई ख़याल-ए-ख़ुदा में जमाल-ए-ख़ुदी में
मैं इस बेबसी में परेशान सू-ए-नजफ़ देखता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ain Tabish
our suggestion based on Ain Tabish
As you were reading Phool Shayari Shayari