khaaksaari thi ki bin dekhe hi hum khaak hue | ख़ाकसारी थी कि बिन देखे ही हम ख़ाक हुए - Ain Tabish

khaaksaari thi ki bin dekhe hi hum khaak hue
aur kabhi maarka-e-fatah-o-zafar dekh na paaye

us ne dekha hai to phir dekhna kya ho jaaye
dekhte rahna hai zalim ko idhar dekh na paaye

be-hunar dekh na sakte the magar dekhne aaye
dekh sakte the magar ahl-e-hunr dekh na paaye

ho gaye khwaahish-e-nazzaara se be-khud itne
dekhna chahte the us ko magar dekh na paaye

kab use laut ke dekhenge ye dekha jaaye
hum ne duniya to bahut dekh li ghar dekh na paaye

log jab dekhne par aaye to itna dekha
aankh pathra gai aur had-e-nazar dekh na paaye

vo bhi kya dekhna tha dekhne waale bole
jalwa har-chand raha peshe-e-nazar dekh na paaye

deep jalte rahe taqon mein ujaala na hua
aankh paaband-e-tahayyur thi udhar dekh na paaye

ye tayqquun nahin hota tha kidhar dekh sake
ye ta'ayyun nahin hota tha kidhar dekh na paaye

vo taghaaful tha ki us ne humein dekha hi nahin
vo tasaahul tha ki hum us ki nazar dekh na paaye

is qadar tez chali ab ke hawa-e-naa-bood
chaah kar shehr-e-tamanna ka khandar dekh na paaye

yun hua dil-zadgaan laut gaye aakhir-e-shab
raat to jaag ke kaatee thi sehar dekh na paaye

kis ne dekhi hai ujaalon se sulagti hui raat
aur jo dekh sake khwaab-e-seher dekh na paaye

ख़ाकसारी थी कि बिन देखे ही हम ख़ाक हुए
और कभी मारका-ए-फ़तह-ओ-ज़फ़र देख न पाए

उस ने देखा है तो फिर देखना क्या हो जाए
देखते रहना है ज़ालिम को इधर देख न पाए

बे-हुनर देख न सकते थे मगर देखने आए
देख सकते थे मगर अहल-ए-हुनर देख न पाए

हो गए ख़्वाहिश-ए-नज़्ज़ारा से बे-ख़ुद इतने
देखना चाहते थे उस को मगर देख न पाए

कब उसे लौट के देखेंगे ये देखा जाए
हम ने दुनिया तो बहुत देख ली घर देख न पाए

लोग जब देखने पर आए तो इतना देखा
आँख पथरा गई और हद-ए-नज़र देख न पाए

वो भी क्या देखना था देखने वाले बोले
जल्वा हर-चंद रहा पेश-ए-नज़र देख न पाए

दीप जलते रहे ताक़ों में उजाला न हुआ
आँख पाबंद-ए-तहय्युर थी उधर देख न पाए

ये तयक़्क़ुन नहीं होता था किधर देख सके
ये तअय्युन नहीं होता था किधर देख न पाए

वो तग़ाफ़ुल था कि उस ने हमें देखा ही नहीं
वो तसाहुल था कि हम उस की नज़र देख न पाए

इस क़दर तेज़ चली अब के हवा-ए-ना-बूद
चाह कर शहर-ए-तमन्ना का खंडर देख न पाए

यूँ हुआ दिल-ज़दगाँ लौट गए आख़िर-ए-शब
रात तो जाग के काटी थी सहर देख न पाए

किस ने देखी है उजालों से सुलगती हुई रात
और जो देख सके ख़्वाब-ए-सहर देख न पाए

- Ain Tabish
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Tabish

As you were reading Shayari by Ain Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Ain Tabish

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari