qissa-e-khwab hoon haasil nahin koi mera | क़िस्सा-ए-ख़्वाब हूँ हासिल नहीं कोई मेरा

  - Ain Tabish

qissa-e-khwab hoon haasil nahin koi mera
aisa maqtool ki qaateel nahin koi mera

hai bapaa mujh mein ajab ma'arka-e-sood-o-ziyaan
is ladai mein muqaabil nahin koi mera

bahta jaata hoon main gumnaam jazeeron ki taraf
vo samundar hoon ki saahil nahin koi mera

hai ajab baat ki dushman ka taraf-daar bhi hai
aisa lagta hai ki ye dil nahin koi mera

roz deta hai mere saamne auron ki misaal
aur kehta hai mumaasil nahin koi mera

क़िस्सा-ए-ख़्वाब हूँ हासिल नहीं कोई मेरा
ऐसा मक़्तूल कि क़ातिल नहीं कोई मेरा

है बपा मुझ में अजब मा'रका-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ
इस लड़ाई में मुक़ाबिल नहीं कोई मेरा

बहता जाता हूँ मैं गुमनाम जज़ीरों की तरफ़
वो समुंदर हूँ कि साहिल नहीं कोई मेरा

है अजब बात कि दुश्मन का तरफ़-दार भी है
ऐसा लगता है कि ये दिल नहीं कोई मेरा

रोज़ देता है मिरे सामने औरों की मिसाल
और कहता है मुमासिल नहीं कोई मेरा

  - Ain Tabish

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Tabish

As you were reading Shayari by Ain Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Ain Tabish

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari