ghani siyah zulf badliyon si bila sabab mujh mein jaagti hai
vo khwaahish-e-naa-muraad ab tak tamaam shab mujh mein jaagti hai
vo ek basti jo so gai hai udaas be-naam ho gai hai
b-harf-o-saut ab bhi cheekhti hai b-chashm-o-lab mujh mein jaagti hai
tire khayaalon ki mamlakat ke tamaam asnaam gir chuke hain
bas ik tamanna-e-kaafiraana bas ik talab mujh mein jaagti hai
main us ghadi apne aap ka saamna bhi karne se bhaagta hoon
vo zeena zeena utarne waali shabeeh jab mujh mein jaagti hai
is ik nigaah mein main kab hoon larzaan use bhi is ki khabar nahin hai
main khud bhi is baat ko nahin jaanta vo kab mujh mein jaagti hai
घनी सियह ज़ुल्फ़ बदलियों सी बिला सबब मुझ में जागती है
वो ख़्वाहिश-ए-ना-मुराद अब तक तमाम शब मुझ में जागती है
वो एक बस्ती जो सो गई है उदास बे-नाम हो गई है
ब-हर्फ़-ओ-सौत अब भी चीख़ती है ब-चश्म-ओ-लब मुझ में जागती है
तिरे ख़यालों की मम्लिकत के तमाम असनाम गिर चुके हैं
बस इक तमन्ना-ए-काफ़िराना बस इक तलब मुझ में जागती है
मैं उस घड़ी अपने आप का सामना भी करने से भागता हूँ
वो ज़ीना ज़ीना उतरने वाली शबीह जब मुझ में जागती है
इस इक निगह में मैं कब हूँ लर्ज़ां उसे भी इस की ख़बर नहीं है
मैं ख़ुद भी इस बात को नहीं जानता वो कब मुझ में जागती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ain Tabish
our suggestion based on Ain Tabish
As you were reading Zulf Shayari Shayari