kaise afsoon the wahan kaise fasaane the udhar
zindagi tujh se taalluq ke bahaane the udhar
kya ajab khwaab ke khushboo ke thikaane the udhar
ab to kuchh yaad nahin kaun zamaane the udhar
ye nahin yaad ki vo baagh tha kis kooche mein
is qadar yaad hai kuchh phool khilaane the udhar
ek basti thi hui waqt ke andoh mein gum
chaahne waale bahut apne purane the udhar
ham idhar aaye to vo arz-e-karam chhootegi
mamlakat ishq ki thi gham ke khazaane the udhar
कैसे अफ़्सूँ थे वहाँ कैसे फ़साने थे उधर
ज़िंदगी तुझ से तअल्लुक़ के बहाने थे उधर
क्या अजब ख़्वाब के ख़ुशबू के ठिकाने थे उधर
अब तो कुछ याद नहीं कौन ज़माने थे उधर
ये नहीं याद कि वो बाग़ था किस कूचे में
इस क़दर याद है कुछ फूल खिलाने थे उधर
एक बस्ती थी हुई वक़्त के अंदोह में गुम
चाहने वाले बहुत अपने पुराने थे उधर
हम इधर आए तो वो अर्ज़-ए-करम छूटेगी
मम्लिकत इश्क़ की थी ग़म के ख़ज़ाने थे उधर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ain Tabish
our suggestion based on Ain Tabish
As you were reading Phool Shayari Shayari