yahan ke rang bade dil-pazeer hue hain
dayaar-e-ishq ke haakim faqeer hote hain
har ek dil mein to ye barchiyaan utarti nahin
koi koi to nazar ke aseer hote hain
hujoom-e-bul-havasi ke ghane andheron mein
kuchh aise gham bhi hain jo dast-geer hote hain
har aise-vaise se qufl-e-qafas nahin khulta
is imtihaan ke liye kuchh haqeer hote hain
tumhaare shehar mein kis ko hai jaan dene ka shauq
magar wahan bhi jo saahib-zameer hote hain
यहाँ के रंग बड़े दिल-पज़ीर हुए हैं
दयार-ए-इश्क़ के हाकिम फ़क़ीर होते हैं
हर एक दिल में तो ये बर्छियाँ उतरती नहीं
कोई कोई तो नज़र के असीर होते हैं
हुजूम-ए-बुल-हवसी के घने अंधेरों में
कुछ ऐसे ग़म भी हैं जो दस्त-गीर होते हैं
हर ऐसे-वैसे से क़ुफ़्ल-ए-क़फ़स नहीं खुलता
इस इम्तिहाँ के लिए कुछ हक़ीर होते हैं
तुम्हारे शहर में किस को है जान देने का शौक़
मगर वहाँ भी जो साहब-ज़मीर होते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ain Tabish
our suggestion based on Ain Tabish
As you were reading Shehar Shayari Shayari