aawaara bhatkata raha paighaam kisi ka | आवारा भटकता रहा पैग़ाम किसी का - Ain Tabish

aawaara bhatkata raha paighaam kisi ka
maktub kisi aur ka tha naam kisi ka

hai ek hi lamha jo kahi vasl kahi hijr
takleef kisi ke liye aaraam kisi ka

kuch logon ko ruksat bhi kiya karti hai zalim
rasta bhi taka karti hai ye shaam kisi ka

ik qahar hua karti hai ye mahfil-e-may hai bhi
jab hont kisi aur ka ho jaam kisi ka

muddat hui doobe hue khwaabon ka safeena
maujon pe chamakta hai magar naam kisi ka

आवारा भटकता रहा पैग़ाम किसी का
मक्तूब किसी और का था नाम किसी का

है एक ही लम्हा जो कहीं वस्ल कहीं हिज्र
तकलीफ़ किसी के लिए आराम किसी का

कुछ लोगों को रुख़्सत भी किया करती है ज़ालिम
रस्ता भी तका करती है ये शाम किसी का

इक क़हर हुआ करती है ये महफ़िल-ए-मय है भी
जब होंट किसी और का हो जाम किसी का

मुद्दत हुई डूबे हुए ख़्वाबों का सफ़ीना
मौजों पे चमकता है मगर नाम किसी का

- Ain Tabish
0 Likes

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Tabish

As you were reading Shayari by Ain Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Ain Tabish

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari