sar takraayein jis se vo deewaar kahaan | सर टकराएँ जिस से वो दीवार कहाँ

  - Akbar Haideri Kashmiri

sar takraayein jis se vo deewaar kahaan
jism kahaan aur rooh ka ye aazaar kahaan

tanhaai ka kab ye aalam tha pehle
chhoot gaye hain mujh se mere yaar kahaan

andhe shehar ke sab aaine andhe hain
aise mein khud apna bhi deedaar kahaan

tooti tooti chand shabeehein baaki hain
dil mein ab yaadon ka vo ambaar kahaan

mere andar mujh se ladta hai koi
is paikaar mein jeet kahaan aur haar kahaan

rooh do-neem aur jism bhi hai reza reza
khaak udaata firta hai pindaar kahaan

kyun ye kashti dol rahi hai lehron par
toota hai is kashti ka patwaar kahaan

सर टकराएँ जिस से वो दीवार कहाँ
जिस्म कहाँ और रूह का ये आज़ार कहाँ

तन्हाई का कब ये आलम था पहले
छूट गए हैं मुझ से मेरे यार कहाँ

अंधे शहर के सब आईने अंधे हैं
ऐसे में ख़ुद अपना भी दीदार कहाँ

टूटी टूटी चंद शबीहें बाक़ी हैं
दिल में अब यादों का वो अम्बार कहाँ

मेरे अंदर मुझ से लड़ता है कोई
इस पैकार में जीत कहाँ और हार कहाँ

रूह दो-नीम और जिस्म भी है रेज़ा रेज़ा
ख़ाक उड़ाता फिरता है पिंदार कहाँ

क्यूँ ये कश्ती डोल रही है लहरों पर
टूटा है इस कश्ती का पतवार कहाँ

  - Akbar Haideri Kashmiri

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Haideri Kashmiri

As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari