aah ai sauda-e-khaam-e-aarzoo | आह ऐ सौदा-ए-ख़ाम-ए-आरज़ू - Akbar Haideri Kashmiri

aah ai sauda-e-khaam-e-aarzoo
ta-b-kai aakhir nizaam-e-aarzoo

zabt-e-aah-e-dil-shikan aur main hazeen
kar raha hoon ehtiraam-e-aarzoo

hoshiyaar ai infi'aal-e-kaif-zaa
husn tak pahuncha payaam-e-aarzoo

chashm-e-lutf-aageen naye andaaz se
le rahi hai intiqaam-e-aarzoo

ahl-e-dil zinda hain kis ummeed par
nazm-e-duniya hai nizaam-e-aarzoo

yaas ki gunjaaishein kis dil mein hain
le raha hai kaun naam-e-aarzoo

bazm-e-anjum jab saraapa-gosh thi
kaash tum sunte payaam-e-aarzoo

aah ab khuddaari-e-akbar kahaan
ho gai vo bhi ghulaam-e-aarzoo

आह ऐ सौदा-ए-ख़ाम-ए-आरज़ू
ता-ब-कै आख़िर निज़ाम-ए-आरज़ू

ज़ब्त-ए-आह-ए-दिल-शिकन और मैं हज़ीं
कर रहा हूँ एहतिराम-ए-आरज़ू

होशियार ऐ इंफ़िआ'ल-ए-कैफ़-ज़ा
हुस्न तक पहुँचा पयाम-ए-आरज़ू

चश्म-ए-लुत्फ़-आगीं नए अंदाज़ से
ले रही है इंतिक़ाम-ए-आरज़ू

अहल-ए-दिल ज़िंदा हैं किस उम्मीद पर
नज़्म-ए-दुनिया है निज़ाम-ए-आरज़ू

यास की गुंजाइशें किस दिल में हैं
ले रहा है कौन नाम-ए-आरज़ू

बज़्म-ए-अंजुम जब सरापा-गोश थी
काश तुम सुनते पयाम-ए-आरज़ू

आह अब ख़ुद्दारी-ए-अकबर कहाँ
हो गई वो भी ग़ुलाम-ए-आरज़ू

- Akbar Haideri Kashmiri
0 Likes

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Haideri Kashmiri

As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari