har nafs minnat-kash-e-aalam hai | हर नफ़स मिन्नत-कश-ए-आलाम है

  - Akbar Haideri Kashmiri

har nafs minnat-kash-e-aalam hai
zindagi shaayad isee ka naam hai

ek aansu aur vo bhi sarf-e-zabt
kya yahi ummeed ka anjaam hai

sarguzasht-e-ishq afsaana nahin
zeenat-e-unwaan tera naam hai

husn ki tafseer bhi kuchh kijie
ishq be-shak ik khayaal-e-khaam hai

ishq ki be-taabiyaan hoshiyaar hon
ahl-e-dil par zabt ka ilzaam hai

हर नफ़स मिन्नत-कश-ए-आलाम है
ज़िंदगी शायद इसी का नाम है

एक आँसू और वो भी सर्फ़-ए-ज़ब्त
क्या यही उम्मीद का अंजाम है

सरगुज़श्त-ए-इश्क़ अफ़्साना नहीं
ज़ीनत-ए-उन्वान तेरा नाम है

हुस्न की तफ़्सीर भी कुछ कीजिए
इश्क़ बे-शक इक ख़याल-ए-ख़ाम है

इश्क़ की बे-ताबियाँ होशियार हों
अहल-ए-दिल पर ज़ब्त का इल्ज़ाम है

  - Akbar Haideri Kashmiri

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Haideri Kashmiri

As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari