dasht-zaar-e-gham mein aatish zer-e-paa hum bhi rahe | दश्त-ज़ार-ए-ग़म में आतिश ज़ेर-ए-पा हम भी रहे - Akbar Haideri Kashmiri

dasht-zaar-e-gham mein aatish zer-e-paa hum bhi rahe
ik sulagti tishnagi se aashna hum bhi rahe

intizaar apne liye tha intishaar apne liye
yaas ka sehra samundar aas ka hum bhi rahe

talkh tursh aur tez misl-e-zahar duniya hi na thi
gard sard aur tund maanind-e-hawaa hum bhi rahe

jam gaeein hum par bhi nazrein zuhra-o-mirrikh ki
waqt ke dil ke dhadkane ki sada hum bhi rahe

jism ke zulmat-kade mein soorat-e-qandeel zaat
saikron pardo mein rah kar barmala hum bhi rahe

kaisi mehroomi hai akbar ye ki khud apne liye
apne hi saaye ki soorat na-rasa hum bhi rahe

दश्त-ज़ार-ए-ग़म में आतिश ज़ेर-ए-पा हम भी रहे
इक सुलगती तिश्नगी से आश्ना हम भी रहे

इंतिज़ार अपने लिए था इंतिशार अपने लिए
यास का सहरा समुंदर आस का हम भी रहे

तल्ख़ तुर्श और तेज़ मिस्ल-ए-ज़हर दुनिया ही न थी
गर्द सर्द और तुंद मानिंद-ए-हवा हम भी रहे

जम गईं हम पर भी नज़रें ज़ुहरा-ओ-मिर्रीख़ की
वक़्त के दिल के धड़कने की सदा हम भी रहे

जिस्म के ज़ुल्मत-कदे में सूरत-ए-क़ंदील ज़ात
सैकड़ों पर्दों में रह कर बरमला हम भी रहे

कैसी महरूमी है 'अकबर' ये कि ख़ुद अपने लिए
अपने ही साए की सूरत ना-रसा हम भी रहे

- Akbar Haideri Kashmiri
0 Likes

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Haideri Kashmiri

As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari