kis chaman ki khaak mein phoolon ka mustaqbil nahin
doorbeen nazaron mein rang-o-boo hain aab-o-gil nahin
shokhiyaan hain jis ki har jumbish mein laakhon be-naqaab
kyun vo duzdeeda-nigaahi haq-shanaas-e-dil nahin
jabr sahta hoon magar kab tak sahoon insaan hoon
sabr karta hoon magar dil sabr ke qaabil nahin
ai hawadis-aashnaa eza-talab dil muzda-baad
ja raha hoon us taraf ab main jidhar manzil nahin
kya hua kyun choo ke tum gunche ko peeche hat gaye
ye gul-e-naukhez hai mera shikasta-dil nahin
ai nigaah-e-naaz teri bazm mein laaya hoon main
aaj us dil ko jo barq-e-toor ka qaail nahin
bazm-e-husn-o-ishq mein akbar ki afsurda-dili
daad ke laayeq nahin be-daad ke qaabil nahin
किस चमन की ख़ाक में फूलों का मुस्तक़बिल नहीं
दूरबीं नज़रों में रंग-ओ-बू हैं आब-ओ-गिल नहीं
शोख़ियाँ हैं जिस की हर जुम्बिश में लाखों बे-नक़ाब
क्यूँ वो दुज़दीदा-निगाही हक़-शनास-ए-दिल नहीं
जब्र सहता हूँ मगर कब तक सहूँ इंसान हूँ
सब्र करता हूँ मगर दिल सब्र के क़ाबिल नहीं
ऐ हवादिस-आश्ना ईज़ा-तलब दिल मुज़्दा-बाद
जा रहा हूँ उस तरफ़ अब मैं जिधर मंज़िल नहीं
क्या हुआ क्यूँ छू के तुम ग़ुंचे को पीछे हट गए
ये गुल-ए-नौख़ेज़ है मेरा शिकस्ता-दिल नहीं
ऐ निगाह-ए-नाज़ तेरी बज़्म में लाया हूँ मैं
आज उस दिल को जो बर्क़-ए-तूर का क़ाइल नहीं
बज़्म-ए-हुस्न-ओ-इश्क़ में 'अकबर' की अफ़्सुर्दा-दिली
दाद के लाएक़ नहीं बे-दाद के क़ाबिल नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri
our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri
As you were reading Breakup Motivation Shayari Shayari