kya kahoon jazbaat ka toofaan kitna tez hai | क्या कहूँ जज़्बात का तूफ़ान कितना तेज़ है

  - Akbar Haideri Kashmiri

kya kahoon jazbaat ka toofaan kitna tez hai
dil b-hadd-e-be-khudi ehsaas se labreiz hai

ishq ki duniya mein har takleef raahat-khez hai
iztiraab-e-dil bhi ik had tak sukoon-aamez hai

deedaani hai ab shikast-e-zabt ki be-chaargi
muskurata hoon magar dil dard se labreiz hai

dil nigaah-e-naaz ke uthne se pehle uth gaya
mere ehsaasaat ki raftaar kitni tez hai

aankh mein aansu jigar mein dard dil mein iztiraab
aah zabt-e-aah bhi kitna talaatum-khez hai

ishq ki saada-dili hai har taraf chhaai hui
baargaah-e-husn mein har aarzoo nau-khez hai

क्या कहूँ जज़्बात का तूफ़ान कितना तेज़ है
दिल ब-हद्द-ए-बे-ख़ुदी एहसास से लबरेज़ है

इश्क़ की दुनिया में हर तकलीफ़ राहत-ख़ेज़ है
इज़्तिराब-ए-दिल भी इक हद तक सुकूँ-आमेज़ है

दीदनी है अब शिकस्त-ए-ज़ब्त की बे-चारगी
मुस्कुराता हूँ मगर दिल दर्द से लबरेज़ है

दिल निगाह-ए-नाज़ के उठने से पहले उठ गया
मेरे एहसासात की रफ़्तार कितनी तेज़ है

आँख में आँसू जिगर में दर्द दिल में इज़्तिराब
आह ज़ब्त-ए-आह भी कितना तलातुम-ख़ेज़ है

इश्क़ की सादा-दिली है हर तरफ़ छाई हुई
बारगाह-ए-हुस्न में हर आरज़ू नौ-ख़ेज़ है

  - Akbar Haideri Kashmiri

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Haideri Kashmiri

As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari