badan ki aanch se chehra nikhar gaya kaisa | बदन की आँच से चेहरा निखर गया कैसा

  - Akbar Haideri Kashmiri

badan ki aanch se chehra nikhar gaya kaisa
ye meri rooh mein shola utar gaya kaisa

hazaar aankhon se main us ka muntazir aur vo
mere qareeb se ho kar guzar gaya kaisa

ye kis hawa ki ana todti rahi ham ko
hamaare khwaabon ki khirman bikhar gaya kaisa

dikha ke ek jhalak chaand ho gaya ojhal
chadha na tha ki ye dariya utar gaya kaisa

kis aftaab se tarseel-e-noor jaari hai
dhanak ka rang zameen par bikhar gaya kaisa

na apne qad ka na apne hajm ka hai ehsaas
khala ka dasht subuk-baar kar gaya kaisa

kisi gumaan ke sehra mein kaisi khaak udri
kisi yaqeen ka partav ubhar gaya kaisa

vo teera-chashm ki suraj se bad-gumaan raha
khud apne saaye ki aahat se dar gaya kaisa

बदन की आँच से चेहरा निखर गया कैसा
ये मेरी रूह में शो'ला उतर गया कैसा

हज़ार आँखों से मैं उस का मुंतज़िर और वो
मिरे क़रीब से हो कर गुज़र गया कैसा

ये किस हवा की अना तोड़ती रही हम को
हमारे ख़्वाबों की ख़िर्मन बिखर गया कैसा

दिखा के एक झलक चाँद हो गया ओझल
चढ़ा न था कि ये दरिया उतर गया कैसा

किस आफ़्ताब से तर्सील-ए-नूर जारी है
धनक का रंग ज़मीं पर बिखर गया कैसा

न अपने क़द का न अपने हज्म का है एहसास
ख़ला का दश्त सुबुक-बार कर गया कैसा

किसी गुमान के सहरा में कैसी ख़ाक उड़ी
किसी यक़ीन का परतव उभर गया कैसा

वो तीरा-चश्म कि सूरज से बद-गुमान रहा
ख़ुद अपने साए की आहट से डर गया कैसा

  - Akbar Haideri Kashmiri

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Haideri Kashmiri

As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari