maut us bekas ki ghaayat hi sahi | मौत उस बेकस की ग़ायत ही सही - Akbar Haideri Kashmiri

maut us bekas ki ghaayat hi sahi
umr bhar jis ne museebat hi sahi

husn ka anjaam dekhen ahl-e-husn
ishq mera be-haqeeqat hi sahi

zindagi hai chashm-e-ibrat mein abhi
kuch nahin to aish-o-ishrat hi sahi

dekh leta hoon tabassum husn ka
gham-parasti meri fitrat hi sahi

pardaa-daar-e-saadgi hai har ada
ye tasannuo be-zaroorat hi sahi

darpay-e-aazaar hai qismat to ho
ab mujhe tum se mohabbat hi sahi

hoor-e-be-jaa ki talaafi kuch to kar
khair izhaar-e-nadaamat hi sahi

ai ajal kuch zindagi ka haq bhi hai
zindagi teri amaanat hi sahi

kya karoon akbar dili jazbaat ko
is taghazzul mein qadamat hi sahi

मौत उस बेकस की ग़ायत ही सही
उम्र भर जिस ने मुसीबत ही सही

हुस्न का अंजाम देखें अहल-ए-हुस्न
इश्क़ मेरा बे-हक़ीक़त ही सही

ज़िंदगी है चश्म-ए-इबरत में अभी
कुछ नहीं तो ऐश-ओ-इशरत ही सही

देख लेता हूँ तबस्सुम हुस्न का
ग़म-परस्ती मेरी फ़ितरत ही सही

पर्दा-दार-ए-सादगी है हर अदा
ये तसन्नो बे-ज़रूरत ही सही

दरपय-ए-आज़ार है क़िस्मत तो हो
अब मुझे तुम से मोहब्बत ही सही

हूर-ए-बे-जा की तलाफ़ी कुछ तो कर
ख़ैर इज़हार-ए-नदामत ही सही

ऐ अजल कुछ ज़िंदगी का हक़ भी है
ज़िंदगी तेरी अमानत ही सही

क्या करूँ 'अकबर' दिली जज़्बात को
इस तग़ज़्ज़ुल में क़दामत ही सही

- Akbar Haideri Kashmiri
0 Likes

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Haideri Kashmiri

As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari