ye sitam ik khwahish-e-maahoom par
lutf farma khaatir-e-maghmoom par
ai masarrat mere gham-khaane se door
ye giraani aur mere maqsoom par
pursish-e-haalat-e-gham se darguzar
rehm farma ab dil-e-marhoom par
banda-parvar sirf itni arz thi
farz kuchh khaadim ke hain makhdoom par
sabr karti hi rahi be-chaargi
zulm hota hi raha mazloom par
kya mubassir deedaa-e-khoon-baar tha
tabsira karta raha maqsoom par
ik tabassum tha jawaab-e-aarzoo
wusaaten qurbaan hui mafhoom par
ibtida-e-gham ki door-andeshiyan
shaad hon anjaam-e-na-ma'loom par
aaj tak akbar hoon main saabit-qadam
jaada-e-khuddaari-e-mauhoom par
ये सितम इक ख़्वाहिश-ए-मौहूम पर
लुत्फ़ फ़रमा ख़ातिर-ए-मग़्मूम पर
ऐ मसर्रत मेरे ग़म-ख़ाने से दूर
ये गिरानी और मिरे मक़्सूम पर
पुर्सिश-ए-हालात-ए-ग़म से दरगुज़र
रहम फ़रमा अब दिल-ए-मरहूम पर
बंदा-परवर सिर्फ़ इतनी अर्ज़ थी
फ़र्ज़ कुछ ख़ादिम के हैं मख़दूम पर
सब्र करती ही रही बे-चारगी
ज़ुल्म होता ही रहा मज़लूम पर
क्या मुबस्सिर दीदा-ए-ख़ूँ-बार था
तब्सिरा करता रहा मक़्सूम पर
इक तबस्सुम था जवाब-ए-आरज़ू
वुसअतें क़ुर्बां हुईं मफ़्हूम पर
इब्तिदा-ए-ग़म की दूर-अंदेशियाँ
शाद हों अंजाम-ए-ना-मा'लूम पर
आज तक 'अकबर' हूँ मैं साबित-क़दम
जादा-ए-ख़ुद्दारी-ए-मौहूम पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri
our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri
As you were reading Zakhm Shayari Shayari