paiham ik iztiraab ajab khushk-o-tar mein tha
main ghar mein aa ruka tha mera ghar safar mein tha
kya raushni thi jis ko ye aankhen taras gaeein
kya aag thi ki jis ka dhuaan mere sar mein tha
bas ek dhund khwaabon ki fikr-o-khayaal mein
bas ek lams dard ka shaam-o-sehar mein tha
har ahad ko samete hue chal raha tha main
na-deeda saa'aton ka ujaala nazar mein tha
har lamha tha talash ki sadiyaan liye hue
meri baqa ka raaz hi ilm-o-khabar mein tha
पैहम इक इज़्तिराब अजब ख़ुश्क-ओ-तर में था
मैं घर में आ रुका था मिरा घर सफ़र में था
क्या रौशनी थी जिस को ये आँखें तरस गईं
क्या आग थी कि जिस का धुआँ मेरे सर में था
बस एक धुँद ख़्वाबों की फ़िक्र-ओ-ख़याल में
बस एक लम्स दर्द का शाम-ओ-सहर में था
हर अहद को समेटे हुए चल रहा था मैं
नादीदा साअ'तों का उजाला नज़र में था
हर लम्हा था तलाश की सदियाँ लिए हुए
मेरी बक़ा का राज़ ही इल्म-ओ-ख़बर में था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri
our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri
As you were reading Aag Shayari Shayari