ik jal-thal thi kal tak ye zameen ye dasht bhi kal tak dariya the | इक जल-थल थी कल तक ये ज़मीं ये दश्त भी कल तक दरिया थे - Akbar Haideri Kashmiri

ik jal-thal thi kal tak ye zameen ye dasht bhi kal tak dariya the
ye shor tha kal ik sannaata ye shehar bhi kal tak sehra the

aaghaaz apna vehshat basri anjaam apna shorida-sari
hum aaj bhi hain badnaam bahut hum kal bhi nihaayat rusva the

tanhaai-e-zaat ka saaya hai tanhaai apna virsa hai
hum aaj bhi hain tanhaa tanhaa hum kal bhi tanhaa tanhaa the

maazi ke kharaabon mein bhi kahi lau deta raha suraj apna
maazi ke kharaabon mein bhi hum ik khwaab-e-jahaan-farda the

apna hi to hai shahkaar-e-amal tahzeeb ka ye zindaan akbar
hum aaj hain shehron ke qaaidi kal tak aawaara-e-sehra the

इक जल-थल थी कल तक ये ज़मीं ये दश्त भी कल तक दरिया थे
ये शोर था कल इक सन्नाटा ये शहर भी कल तक सहरा थे

आग़ाज़ अपना वहशत बसरी अंजाम अपना शोरीदा-सरी
हम आज भी हैं बदनाम बहुत हम कल भी निहायत रुस्वा थे

तन्हाई-ए-ज़ात का साया है तन्हाई अपना विर्सा है
हम आज भी हैं तन्हा तन्हा हम कल भी तन्हा तन्हा थे

माज़ी के ख़राबों में भी कहीं लौ देता रहा सूरज अपना
माज़ी के ख़राबों में भी हम इक ख़्वाब-ए-जहान-फ़र्दा थे

अपना ही तो है शहकार-ए-अमल तहज़ीब का ये ज़िंदाँ 'अकबर'
हम आज हैं शहरों के क़ैदी कल तक आवारा-ए-सहरा थे

- Akbar Haideri Kashmiri
0 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Haideri Kashmiri

As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari