ham jahaan rahte hain khwaabon ka nagar hai koi | हम जहाँ रहते हैं ख़्वाबों का नगर है कोई

  - Akbar Haideri Kashmiri

ham jahaan rahte hain khwaabon ka nagar hai koi
is kharaabe mein na deewaar na dar hai koi

ja basa tha jo kisi hijr ke sehra mein kabhi
ai hawao kaho is dil ki khabar hai koi

soorat-e-mauj-e-saba log idhar se guzre
ye to anjaani hawaon ki dagar hai koi

hijr-e-deedaar bhi mahroomi-e-deedaar bhi hijr
jo kabhi khatm na ho aisa safar hai koi

main ki andar se pighlata hi chala jaata hoon
mere yakh-basta badan mein bhi sharar hai koi

ye fazaa raas nahin dasht-mizaajon ke liye
is saman-zaar mein patthar hai na sar hai koi

jism aur jaan ka ye aazaar ye mahshar akbar
kisi andesha-e-baatin ka asar hai koi

हम जहाँ रहते हैं ख़्वाबों का नगर है कोई
इस ख़राबे में न दीवार न दर है कोई

जा बसा था जो किसी हिज्र के सहरा में कभी
ऐ हवाओ कहो इस दिल की ख़बर है कोई

सूरत-ए-मौज-ए-सबा लोग इधर से गुज़रे
ये तो अनजानी हवाओं की डगर है कोई

हिज्र-ए-दीदार भी महरूमी-ए-दीदार भी हिज्र
जो कभी ख़त्म न हो ऐसा सफ़र है कोई

मैं कि अंदर से पिघलता ही चला जाता हूँ
मेरे यख़-बस्ता बदन में भी शरर है कोई

ये फ़ज़ा रास नहीं दश्त-मिज़ाजों के लिए
इस समन-ज़ार में पत्थर है न सर है कोई

जिस्म और जाँ का ये आज़ार ये महशर 'अकबर'
किसी अंदेशा-ए-बातिन का असर है कोई

  - Akbar Haideri Kashmiri

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Haideri Kashmiri

As you were reading Shayari by Akbar Haideri Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Haideri Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari