jism ke ghaar ke dahaane par | जिस्म के ग़ार के दहाने पर - Akhilesh Tiwari

jism ke ghaar ke dahaane par
vo hi kirdaar tha nishaane par

kya muqaabil thi ab ke bhi deewaar
koi bola nahin bulane par

ik maani ne aur dam toda
ain alfaaz ke muhaane par

saaebaan ke tale kahaan rahti
dhoop ja baithi shaamiyaane par

vo bhi eimaan tak chala aaya
aa gaye ham bhi muskuraane par

shor tanhaaiyaan bhi karti hain
ye khula koi yaad aane par

rat-jaga dhundh khwaab sargoshi
itne mehmaan ghareeb-khaane par

zakham ka vo hi roz ka rona
zabt ki zid bhi aazmaane par

laao naakaamiyon ka jaam idhar
khaak daalo bhi ab zamaana par

khud ko khud mein samet kar uthiye
aa gai dhoop bhi sirhaane par

mutmain aql kyun nahin aakhir
lag gaya dil bhi jab thikaane par

जिस्म के ग़ार के दहाने पर
वो ही किरदार था निशाने पर

क्या मुक़ाबिल थी अब के भी दीवार
कोई बोला नहीं बुलाने पर

इक मआ'नी ने और दम तोड़ा
ऐन अल्फ़ाज़ के मुहाने पर

साएबाँ के तले कहाँ रहती
धूप जा बैठी शामियाने पर

वो भी ईमान तक चला आया
आ गए हम भी मुस्कुराने पर

शोर तन्हाइयाँ भी करती हैं
ये खुला कोई याद आने पर

रत-जगा धुंध ख़्वाब सरगोशी
इतने मेहमाँ ग़रीब-ख़ाने पर

ज़ख़्म का वो ही रोज़ का रोना
ज़ब्त की ज़िद भी आज़माने पर

लाओ नाकामियों का जाम इधर
ख़ाक डालो भी अब ज़माना पर

ख़ुद को ख़ुद में समेट कर उठिए
आ गई धूप भी सिरहाने पर

मुतमइन अक़्ल क्यों नहीं आख़िर
लग गया दिल भी जब ठिकाने पर

- Akhilesh Tiwari
0 Likes

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhilesh Tiwari

As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Akhilesh Tiwari

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari