jin se darte the maraasim un hadon tak aa gaye
aap se phir rafta rafta khud se ham ukta gaye
ret par kuchh door tak dekhe the ham ne saaf saaf
phir ghubaar utha koi vo naqsh bhi dhundhlaa gaye
khud-kushi suraj ne kar li ye bataane ke liye
kaale rangon ke parinde aasmaan par chha gaye
chand jugnoo hain yahan par aur musalsal teergi
saahabo ham sham'a le kar kis khandar mein aa gaye
vo wali hai aur na baada-khwaar hai daanishwaron
aap bhi ham-zaad se mera hi dhokha kha gaye
जिन से डरते थे मरासिम उन हदों तक आ गए
आप से फिर रफ़्ता रफ़्ता ख़ुद से हम उक्ता गए
रेत पर कुछ दूर तक देखे थे हम ने साफ़ साफ़
फिर ग़ुबार उठा कोई वो नक़्श भी धुँधला गए
ख़ुद-कुशी सूरज ने कर ली ये बताने के लिए
काले रंगों के परिंदे आसमाँ पर छा गए
चंद जुगनू हैं यहाँ पर और मुसलसल तीरगी
साहबो हम शम्अ' ले कर किस खंडर में आ गए
वो वली है और न बादा-ख़्वार है दानिशवरों
आप भी हम-ज़ाद से मेरा ही धोखा खा गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari
our suggestion based on Akhilesh Tiwari
As you were reading Andhera Shayari Shayari