fareb khaana nahin baar baar cheekhta hai
nadi ki tah se koi regzaar cheekhta hai
badan ke ghaar se be-ikhtiyaar cheekhta hai
shikaar hone se pehle shikaar cheekhta hai
tamaam din to nahin tootaa tilism-esada
tamaam raat bhi bas intizaar cheekhta hai
udhar na jaana udhar raaste mein manzil hai
safar ka lutf sar-e-rahguzaar cheekhta hai
mahaaz-e-jang mein pehle hareef tay to hon
lagaam thaame hue shehsawaar cheekhta hai
tamaam umr ka haasil hai sirf tanhaai
bulandiyon se koi kohsaar cheekhta hai
isee liye to main khud se hi bhaaga firta hoon
koi hai mujh mein naseehat-guzaar cheekhta hai
फ़रेब खाना नहीं बार बार चीख़ता है
नदी की तह से कोई रेगज़ार चीख़ता है
बदन के ग़ार से बे-इख़्तियार चीख़ता है
शिकार होने से पहले शिकार चीख़ता है
तमाम दिन तो नहीं टूटता तिलिस्म-एसदा
तमाम रात भी बस इंतिज़ार चीख़ता है
उधर न जाना उधर रास्ते में मंज़िल है
सफ़र का लुत्फ़ सर-ए-रहगुज़ार चीख़ता है
महाज़-ए-जंग में पहले हरीफ़ तय तो हों
लगाम थामे हुए शहसवार चीख़ता है
तमाम उम्र का हासिल है सिर्फ़ तन्हाई
बुलंदियों से कोई कोहसार चीख़ता है
इसी लिए तो मैं ख़ुद से ही भागा फिरता हूँ
कोई है मुझ में नसीहत-गुज़ार चीख़ता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari
our suggestion based on Akhilesh Tiwari
As you were reading Neend Shayari Shayari