jod kar rakhi hui sab paai paai le udri
duniya ehsaasaat ki gaadhi kamaai le udri
mutmain the raaz-e-dil ham mein kahi mahfooz hai
us ko bhi tanhaai ki par aawaa-jaai le adi
ek sada aayi qafas ke paar bhi koi jaal hai
aashiyaan ki or jab ham ko rihaai le udri
sach ki uryaani pehanti kyun qaba tahreer ki
cheen li mujh se qalam phir roshnai le udri
abr ka tukda mere hamraah kitni door tak
cheel si koi hawa ki mauj aayi le udri
ladkhadaate paanv the par the to manzil ki taraf
raasta hi rahbaro'n ki rahnumaai le udri
ham se aawaara-mizaajon ki koi manzil kahaan
aap ko bhi aap ki hi paarsaai le udri
dhoondte ho ab kahaan akhilesh vo saaye ghane
bargadon ki shakhsiyat to bonsaai le udri
जोड़ कर रक्खी हुई सब पाई पाई ले उड़ी
दुनिया एहसासात की गाढ़ी कमाई ले उड़ी
मुतमइन थे राज़-ए-दिल हम में कहीं महफ़ूज़ है
उस को भी तन्हाई की पर आवा-जाई ले अड़ी
एक सदा आई क़फ़स के पार भी कोई जाल है
आशियाँ की ओर जब हम को रिहाई ले उड़ी
सच की उर्यानी पहनती क्यों क़बा तहरीर की
छीन ली मुझ से क़लम फिर रौशनाई ले उड़ी
अब्र का टुकड़ा मेरे हमराह कितनी दूर तक
चील सी कोई हवा की मौज आई ले उड़ी
लड़खड़ाते पाँव थे पर थे तो मंज़िल की तरफ़
रास्ता ही रहबरों की रहनुमाई ले उड़ी
हम से आवारा-मिज़ाजों की कोई मंज़िल कहाँ
आप को भी आप की ही पारसाई ले उड़ी
ढूँडते हो अब कहाँ 'अखिलेश' वो साए घने
बरगदों की शख़्सियत तो बोन्साई ले उड़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari
our suggestion based on Akhilesh Tiwari
As you were reading Raasta Shayari Shayari