uda ke phir wahi gard-o-ghubaar pehle sa
bula raha hai safar baar-baar pehle sa
vo ek dhund thi aakhir ko chhat hi jaana thi
dikhaai dene laga aar-paar pehle sa
nadi ne raah samundar ki phir wahi pakadi
sadaaein deta raha regzaar pehle sa
kahi dhalaan muqaddar na ho bulandi ka
chadhaai phir na ho apna utaar pehle sa
sawaal kyun na charaagh-e-sehr se kar dekhen
junoon ab bhi hai kya barqaraar pehle sa
to kya palat ke wahi din phir aane waale hain
kai dinon se hai dil be-qaraar pehle sa
उड़ा के फिर वही गर्द-ओ-ग़ुबार पहले सा
बुला रहा है सफ़र बार-बार पहले सा
वो एक धुँद थी आख़िर को छट ही जाना थी
दिखाई देने लगा आर-पार पहले सा
नदी ने राह समुंदर की फिर वही पकड़ी
सदाएँ देता रहा रेगज़ार पहले सा
कहीं ढलान मुक़द्दर न हो बुलंदी का
चढ़ाई फिर न हो अपना उतार पहले सा
सवाल क्यूँ न चराग़-ए-सहर से कर देखें
जुनून अब भी है क्या बरक़रार पहले सा
तो क्या पलट के वही दिन फिर आने वाले हैं
कई दिनों से है दिल बे-क़रार पहले सा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari
our suggestion based on Akhilesh Tiwari
As you were reading Dariya Shayari Shayari