nadi ka kya hai jidhar chahe us dagar jaaye
magar ye pyaas mujhe chhod de to mar jaaye
kabhi to dil yahi uksaaye khaamoshi ke khilaaf
labon ka khulna hi is ko kabhi akhar jaaye
kabhi to chal pade manzil hi raaste ki tarah
kabhi ye raah bhi chal chal ke phir thehar jaaye
koi to baat hai pichhle pahar mein raaton ke
ye band kamra ajab raushni se bhar jaaye
ye tera dhyaan ki sehama parinda ho koi
zara si saans ki aahat bhi ho to dar jaaye
bahut sanbhaal ke darpan ana hai ye akhilesh
zara si chook se aisa na ho bikhar jaaye
नदी का क्या है जिधर चाहे उस डगर जाए
मगर ये प्यास मुझे छोड़ दे तो मर जाए
कभी तो दिल यही उकसाए ख़ामुशी के ख़िलाफ़
लबों का खुलना ही इस को कभी अखर जाए
कभी तो चल पड़े मंज़िल ही रास्ते की तरह
कभी ये राह भी चल चल के फिर ठहर जाए
कोई तो बात है पिछले पहर में रातों के
ये बंद कमरा अजब रौशनी से भर जाए
ये तेरा ध्यान कि सहमा परिंदा हो कोई
ज़रा सी साँस की आहट भी हो तो डर जाए
बहुत सँभाल के दर्पन अना है ये 'अखिलेश'
ज़रा सी चूक से ऐसा न हो बिखर जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari
our suggestion based on Akhilesh Tiwari
As you were reading Environment Shayari Shayari