kehne ko kamre mein saare yakja baithe hain | कहने को कमरे में सारे यकजा बैठे हैं - Akhilesh Tiwari

kehne ko kamre mein saare yakja baithe hain
apne apne mobile par tanhaa baithe hain

apne hi khwaabon ko karke pinjra baithe hain
karne kya aaye the lekin kar kya baithe hain

jaane kis ke haath laga chehra jo apna tha
be-matlab kab se le kar aaina baithe hain

ek sabq ratte to hain par yaad nahin hota
tifl-e-maktab kab se khole basta baithe hain

phir veeraan shajar par vo hi raunaq lauti hai
phir vo panchi waapas daalon par aa baithe hain

naahak aap nikal aaye dil ki pagdandi par
khaaron mein ab apna daaman uljha baithe hain

tanhaai waahid rasta tha tum tak aane ka
duniya waale is par bhi duniya la baithe hain

ek samundar bhed chhupaaye jazb kare sab ko
aas lagaaye kab se kitne dariya baithe hain

roz wahi aahat vo hi sargoshi bheetar se
apne mein hum apne se hi ukta baithe hain

shaam se pehle laut ke ghar aane ki ujlat mein
seedha sa rasta raston mein uljha baithe hain

कहने को कमरे में सारे यकजा बैठे हैं
अपने अपने मोबाइल पर तन्हा बैठे हैं

अपने ही ख़्वाबों को करके पिंजरा बैठे हैं
करने क्या आए थे लेकिन कर क्या बैठे हैं

जाने किस के हाथ लगा चेहरा जो अपना था
बे-मतलब कब से ले कर आईना बैठे हैं

एक सबक़ रटते तो हैं पर याद नहीं होता
तिफ़्ल-ए-मकतब कब से खोले बस्ता बैठे हैं

फिर वीरान शजर पर वो ही रौनक़ लौटी है
फिर वो पंछी वापस डालों पर आ बैठे हैं

नाहक़ आप निकल आए दिल की पगडंडी पर
ख़ारों में अब अपना दामन उलझा बैठे हैं

तन्हाई वाहिद रस्ता था तुम तक आने का
दुनिया वाले इस पर भी दुनिया ला बैठे हैं

एक समुंदर भेद छुपाए जज़्ब करे सब को
आस लगाए कब से कितने दरिया बैठे हैं

रोज़ वही आहट वो ही सरगोशी भीतर से
अपने में हम अपने से ही उक्ता बैठे हैं

शाम से पहले लौट के घर आने की उजलत में
सीधा सा रस्ता रस्तों में उलझा बैठे हैं

- Akhilesh Tiwari
0 Likes

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhilesh Tiwari

As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Akhilesh Tiwari

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari