kise jaana kahaan hai munhasir hota hai is par bhi
bhatkata hai koi baahar to koi ghar ke bheetar bhi
kisi ko aas baadal se koi daryaon ka taalib
agar hai tishna-lab sehra to pyaasa hai samundar bhi
shikasta khwaab ki kirchen padi hain aankh mein shaayad
nazar mein chubhta hai jab tab adhoora sa vo manzar bhi
suraagh is se hi lag jaaye mere hone na hone ka
guzar kar dekh hi leta hoon apne mein se ho kar bhi
jise parchhaaien samjhe the haqeeqat mein na paikar ho
parakhnaa chahiye tha aap ko us shay ko choo kar bhi
palat kar muddaton ba'd apni tehriroon se guzroon to
lage akshar ki ho saka tha is se aur behtar bhi
किसे जाना कहाँ है मुनहसिर होता है इस पर भी
भटकता है कोई बाहर तो कोई घर के भीतर भी
किसी को आस बादल से कोई दरियाओं का तालिब
अगर है तिश्ना-लब सहरा तो प्यासा है समुंदर भी
शिकस्ता ख़्वाब की किर्चें पड़ी हैं आँख में शायद
नज़र में चुभता है जब तब अधूरा सा वो मंज़र भी
सुराग़ इस से ही लग जाए मिरे होने न होने का
गुज़र कर देख ही लेता हूँ अपने में से हो कर भी
जिसे परछाईं समझे थे हक़ीक़त में न पैकर हो
परखना चाहिए था आप को उस शय को छू कर भी
पलट कर मुद्दतों बअ'द अपनी तहरीरों से गुज़रूँ तो
लगे अक्सर कि हो सकता था इस से और बेहतर भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari
our suggestion based on Akhilesh Tiwari
As you were reading Nazar Shayari Shayari