raushni ke na the aasaar band kamre mein | रौशनी के न थे आसार बंद कमरे में

  - Akhilesh Tiwari

raushni ke na the aasaar band kamre mein
vo to lau de utha kirdaar band kamre mein

hai guzar apna hi mushkil to phir ta'ajjub hai
kis tarah aa gaya bazaar band kamre mein

sher jitne kahe khaariz kiye siva us se
sirf purzon ka hai ambaar band kamre mein

chaand taaron se alag ek aur duniya hai
baanchta tha koi akhbaar band kamre mein

tajruba khoob hai is par amal bhi karna hai
rahna hai khud se hi hushyaar band kamre mein

jod kar rakhta tha duniya se jo vo hi ehsaas
ab pada rehta hai beemaar band kamre mein

sach agar jhooth ko tasleem kar bhi luun to ana
rooth kar karti hai takraar band kamre mein

रौशनी के न थे आसार बंद कमरे में
वो तो लौ दे उठा किरदार बंद कमरे में

है गुज़र अपना ही मुश्किल तो फिर तअ'ज्जुब है
किस तरह आ गया बाज़ार बंद कमरे में

शेर जितने कहे ख़ारिज किए सिवा उस से
सिर्फ़ पुर्ज़ों का है अम्बार बंद कमरे में

चाँद तारों से अलग एक और दुनिया है
बाँचता था कोई अख़बार बंद कमरे में

तज्रबा ख़ूब है इस पर अमल भी करना है
रहना है ख़ुद से ही हुश्यार बंद कमरे में

जोड़ कर रखता था दुनिया से जो वो ही एहसास
अब पड़ा रहता है बीमार बंद कमरे में

सच अगर झूट को तस्लीम कर भी लूँ तो अना
रूठ कर करती है तकरार बंद कमरे में

  - Akhilesh Tiwari

Dhokha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhilesh Tiwari

As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Akhilesh Tiwari

Similar Moods

As you were reading Dhokha Shayari Shayari